Friday, 30 December 2011

Mobile ek Mushkil - Batao Kiya Kiya Jaye?

Kal class laytay howay mairay mobile pay call aai. main nay jaldi say phone off kar diya. jab class khatam hoi to phone on howa to pher usi num say phone aaya main nay phone uthaya aur 3 baar hello kahnay pay bhi jab koi na bola to call kat di. jald hi msg aya kay aap ki awaz achi hai main aap say dosti karna chahta hon. main nay ignore kiya pher aik kay baad aik msg atay rahay ya call aati rahi. mama nay danta kay kis ka phone araha hai baar baar. bhai nay baat sunai. main kiya karti main ny us insan ko mana kiya to us nay kaha jab tak dosti nahi karo gi main  tang karon ga. main ye puchna chahti hon kiya larkion kay liye ab mobile rakhna bhi mushkil hai? larkiyon kay liye zindagi itni mushkil kiyn bana di gai hai? kiyn hamain hamaray hi apno kay samnay sharminda kiya jata hai? hamara jurm kiya hai kiya hum larki hain ye hai jurm? hum mobile rakhtay hain apni asani kay liye aur awara larkay tang kar daytay hain. is dunya main hamaray liye jina mushkil kar diya hai hum kiya karain?    

No comments:

Post a Comment