Hum larkiyan kitni zanjeeron main bandhi hoti hain. Bachpan say hamain zamanay kay toor tarikay sikhaye jatay hain. Zamanay ki rasmon say roshnas karaya jata hai. Baray honay pay kuch pabandiyan hum pay lagai jati hain aur khuch hum khud apnay aap pay lagatay hain. Wo kon si hain aur kiya pabandiyan hain jo hum pay lagai jati hain aur khud hum apnay pay lagatay hain. Ager is baray main aap bhi kuch kahna, sunna, puchna chahati hain to kahain apnay dil ki batain.
No comments:
Post a Comment